Sunday, February 16, 2014

tu paani c nirmal nishchal
ek aas jo her pal sath sath
roj suraj ki kirno se pehle
tere meethe bolo ki aas
ek umeed ek vajah
na din ki khabar na rat ka pata
bas kehkahe hi goonjate
hasne ki koi wajah nahi
bas awaz sunte hi khilkhil adena
chah ker bhi teri judai ko ujagar na kar paai
teri sunder  saloni muskurahat ko dhyan kar
tu chali gai bahutdoor paya nahi kitane samander paar
bas yu lagta hai jaise kuch kho gaya hai aaj
roz bhi to main akeli hoti thi
aaj lagta hai jaise mera dil chala gaya hai kahi
khilkhilayenge ab bhi jab bat karenge
vo bevajah ki baate ab bhi hongi per vo bat nahi hogi
vo ehsas nahi hoga
fir bhi tere aane ki aas to hai
bas isi liye muskura di hu main
tu bhi has dena jaldi se
Missing you

No comments:

Post a Comment